Mera Akbar(a) Maar Diya - Baqar Hussain Jafri
Mera Akbar(a) Maar Diya
Me dekh ke Akbar(a) ka chehra
Har roz ibadat karta tha
Jab yaad sataye Nana ki
Me uski ziyarat karta tha
Tha laal mera husn-e-Akbar
Tha mere liye Baba Haider
Ye mera Muhammad(s) tha
Hai meri zaeefi ka aalam
Me ghutnon chalte aaya hun
Beenai nahi aankhon me mere
Me girte sambhalte aaya hun
Ek baap ki samjho tum ghurbat
Tha meri zaeefi me himmat
Ye mera sahara tha
Kya taras nahi aaya tum ko
Neze se jab hai waar kiya
Kya itna haseen dekha tha kabhi
Jis husn ko khoon ne dhaanp liya
Yaqoob ke Yusuf ki tarah
Is baap ki thi is laal me jaan
Me kaise rahun zinda
Ek behn hai uski Yasrib me
Jo rasta takti rehti hai
Bhai kab aayen ge wapas
Har waqt ye kehti rehti
Aaya hai ab qasid uska
Lekin hai nahi ab maa jaya
Mar jaye gi ab Sughra(s)
Ab sabr kare kaise Laila(s)
Jis laal ki shaadi ke din the
Armaan-e-dil-e-Laila(s) samjho
Bete ki jawani ke din the
Ab zakhm khule dil chaak hue
Armaan wo sare khaak hue
Laila bhi kare nauha
Ae Baqar o Taha Maula ki
Ghurbat ko samajh kar rona hai
Dasween ko azan-e-Akbar(a) se
Shaam-e-gham tak bas rona hai
Haan farz samajh kar bas apna
Maula(a) ko sunana hai nauha
Parh parh ke shab-e-Jumma
`Kalam: Baqar Hussain Jafri | Karachi, Pakistan
Comments
Post a Comment