Al Madad Ya Zehra - Baqar HussainJafri
Al-Mad Ya Zehra (s)
Aap ko sab khabar hai Shehzadi
Aap ke bin nahi mera koi
Sirf tum se juri hain umeedein
Aankh me ashk lab pe hai jaari
Saaye me apni rida ke hamein tum rakh lena
Jo hain tang dast jholiyan bhar dein
Aap mehmaan hon jis me wo ghar dein
Apne aansu dikhayen hum kis ko
Hum gunahgar pe karam kar dein
Apne daaman ko bichha kar yehi karte hain dua
Mere dil ko yaqeen hai aye Bibi
Mujh ko tanha nahi hai chhora kabhi
Zabt karta hun sirf rota hun
Aap sunti hain meri khamoshi
Waqt mushkil me tapakte hue aansu ne kaha
Kya hai duniya ye aap ko hai khabar
Jo chali aayi aap ke dar par
Aap ka pehlu kar diya zakhmi
Aur Muhsin ka qatl bhi ghar par
Hay afsos ke Haider (a) ka tha rassi me gala
Zulm ka aaftab dikhta hai
Phir shaheedon ka khoon behta hai
Apne betay ko bhej dein Bibi
Har azadaar bas ye kehta hai
Khoon e nahaq ka abhi baqi hai, khoon ka badla
Bole Bibi ye Baqar o Taha
Aap se hum ne kar liya wada
Jab talak saans hai Ali ki qasam
Hum ne chhorenge khoon ka pursa
Farsh e majlis pe julooson me parhen ge noha
`Kalam: Baqar Hussain Jafri | Karachi, Pakistan

Comments
Post a Comment