Karbala ka Rasta - Baqar Hussain Jafri
Karbala ka Rasta
Har Hussaini dekhta hai Karbala ka rasta
Hazrat Abbas(a) sab ko aap ka hai aasra
Jab dikha maah-e-Muharram beqarari barh gayi
Har taraf se shor-e-matem ki sada uthne lagi
Shah-e-Nasheen ko dekh kar be-saakhta jumla kaha
Me alam par ja ke baitha ye mere ehsaas the
Guftagu karta tha jaise saamne Abbas the
Un ke parcham se lipat kar me ne itna keh diya
Har baras ye sochta hun ab bulayen ge mujhe
Me bohat bechain hun seene lagayen ge mujhe
Meri qismat me nahi likha hua deedaar kya
Dil bohat bechain hai haalaat hain badle hue
Kitne momin ruk gaye hain Karbala jaate hue
Phir dil-e-umeed ghar me hi tadapta reh gaya
Har baras likh kar arizah bhejta hun aap ko
Hai khabar Maula me kitna chahta hun aap ko
Mil na paaya aap se kya zindagi ka faida
Aap ke roze ki jaali se lipat kar rounga
Zakhm-e-duniya qalb me jitne hain wo sab dhounga
Ziyarat-e-Ashoor parh parh karun sajda ada
Baqar o Hussnain wo nazar-e-karam kar dein agar
Me Najaf se Karbala jab bhi karun paidal safar
Sab ki janaab se arizah jaunga ye parhta hua
`Kalam: Baqar Hussain Jafri | Karachi, Pakistan
Comments
Post a Comment