Maah-e-Shaban - Baqar Hussain Jafri
Maah-e-Shaban
Hussain Akbar o Ghazi o Qasim o Zainab(s)
Khuda ne bhej diye Panjatan yun Shaban me
Ek dusre se hum mil ke gale ye kehte hain
Ye hai maah-e-Shaban yani maah-e-Panjatan
Chaand dikha Shaban ka hai mahaul khushi ka har jaanib
Ae matamdar qabeelay walon aaj hai ye tum par wajib
Tum ghar ko sajao
Aur jashn manao
Ye rone wale aaj khushi se hanste hain
Aamad-e-Saani-e-Zehra(s) hai pehli Shaban hai unka din
Aaj Ali(a) se maang lo jo dil ho wo sab kuch hai mumkin
Ye din bhi bara hai
Aur sab se juda hai
Haan charon taraf bas aaj yehi to charche hain
Teesri Shaban din hai uska jo Akbar(a) ka Baba hai
Naam Hussain(a) ibn-e-Haider jo jaan-e-janaab Zehra(s) hai
Ye noor ka paikar
Ye ibn-e-Haider(a)
Is ki marzi se kaam jahan ke chalte hain
Aayi hai Shaban ki chauthi ye bhi khushi hai sab se bari
Aaya Ali(a) ka aisa beta jo khud hai hum-shakl Ali(a)
Jisko salaam hai
Abbas(a) naam hai
Har toote hue dil ke andar jo rehte hain
Saatween Shaban aayi to nazil hua aise husn-e-Hasan
Aaye duniya me Qasim Farwa ka dil aur jaan-e-Hasan(a)
Maulaiyon suno
Tum manqabat parho
Is roz ke sadqe sab ke sehre khilte hain
Bait-e-Ali me aaj ke din ek aur Muhammad aaya hai
Aamad-e-Akbar(a) par ghar walon ne yun jashn manaya hai
Wajib hai hum par
Kaashan o Baqar
Hum apne gharon me mehfil-e-Maula rakhte hain
`Kalam: Baqar Hussain Jafri | Karachi, Pakistan
Comments
Post a Comment