Maula Ka Alam - Baqar Hussain Jafri
Parcham e Abbas Parcham e Abbas Parcham e Abbas
Jisko kehte hain zamanay dua-e-Zehra(s)
Shab ki tareeki me Haider(a) ne jise maanga
Wo hai salaare wafadaar Sakina(s) ka chacha
Ab bhi maujon ki rawani pe hai jiska qabza
Ye wahi sheer-e-babar
Jiska parcham ghar ghar
Bas sajaye hue ye wird labon par
Jo wafadaar hain kehte nazar aayen ge
Hum bhi Maula ka alam ghar me lagayen ge
Aaya maah-e-aza farsh-e-gham bichh gaya har taraf
Ashray majalis ke bapa hain
Sauz khwani kahin nauha khwani kahin
Aath ko hazri ghar ghar nazar aaye
Hai ibadat ka safar
Dekh kar ye manzar
Har azadar-e-Hussaini ke hai lab par
Apne ghar farsh-e-aza hum bhi bichhayen ge
Maaon ki godiyan aur wo loriyan
Wo azanon ki sada kaan me baad az
Ye juloos-e-aza aur farsh-e-aza
Matami tifl ke hai dars ka markaz
Aise parwaan charhen
Ye Hussaini bache
Baap ka haath pakad kar ye pukaren
Is baras ghar me khilone nahi laayen ge
Ghar me rakha alam door the sare gham
Hain zaeefon ki zabaan par yehi naare
Maut bar haq hai to ae jawano suno
Ek wasiyat hai tumhare ye hawale
Hoga duniya se guzar
Qabar ban jayegi ghar
Mujh se milne ke liye ghar mere aakar
Ye ehad karlo ke hum tohfa ye laayen ge
Jo jawanan hain farsh ki jaan hain
Ye wafadaar hain Abbas(a) ke sare
Ye dua-e-Batool(s) aur gulshan ke phool
Bani Hashim ke qamar ke hain ye tare
Ye jawan kehne lage
Shauq dil hai kab se
Ghar chalane ka fareeza bhi hai sar pe
Ab se mehnat se zara aur kamayen ge
Subah-e-be-noor ke baad yani Ashoor ke
Dushmanon ke liye lalkar thin Zainab(s)
Misle Karrar bhi thin aur salaare bhi thin
Baad Abbas(a) alamdaar thin Zainab(s)
De gayin dars hamein
Bolein maaen behnein
Sani-e-Fatima Zehra(s) ki kaneezain
Apni Bibi se yun hum ehad nibhayen ge
Jab Abul Fazl ke dono baazu kate
Apne daanton se alam thaam liya tha
Mashk jab chhed gayi aur paani baha
To bhatiji ka faqat naam liya tha
Hum nahi bhoole kabhi
Wo wafadaari teri
Aap se waada raha ae mere Ghazi(a)
Saath ek mash
`Kalam: Baqar Hussain Jafri | Karachi, Pakistan
Comments
Post a Comment