Zuljanah - Baqar Hussain Jafri

 Zuljanah


Mere Baba kahan chhor ke aaya hai bata  

Kyun hai khamosh aur aankhon me hai ashk-e-aza  

Haal-e-maqtal ka suna  

Tanha kyun laut gaya  

Hain wo Imam-e-Zamana


Ho gayi raat andhera hai aur har su dhuwan  

Is bayaban me beti ko mile Baba kahan  

Dil hai bechain mera  

Baba Hussain(a) mera  

Ja ke to Baba ko le aana


Aalam-e-gham hai sitamgar hain nahi ho jaye dair  

Neend aati hi nahi Baba ke seene ke baghair  

Dil ka qaraar hain wo  

Haan mera pyaar hain wo  

Meri umeedon ka khazana


Subah se jo bhi gaya laut ke wo aaya nahi  

Aaye Amoo bhi nahi bhai bhi ab Baba nahi  

Bhaiya Sajjad(a) hai bas  

Meri faryaad hai bas  

Zulm ki zad pe hai gharana


Haye phir Baqar o Taha ye kaha Shehzadi ne  

Yani Sughra(s) ki tarah firqat-e-Baba me jiye  

Had se guzar jaungi  

Baba me mar jaungi  

Phir meri qabar pe aana


`Kalam: Baqar Hussain Jafri | Karachi, Pakistan


Comments

Popular posts from this blog

Baqar Hussain Biography

Mera Akbar(a) Maar Diya - Baqar Hussain Jafri

Ap Ka Haq Hai Hasan a.s | Baqar Hussain Jafri